wo aalam tishnagi ka hai safar aasan nahin lagta ba-zahir to mujhe barish ka bhi imkan nahin lagta ye dil jagir hai jis ki usi ke nam kar di hai jo mere dil ke aangan mein mujhe mehman nahin lagta shuur-o-agahi kaisi koi wahshi koi sarkash ye kaisa desh hai jis mein koi insan nahin lagta nai qadren nai tahzib ka aaghaz hota hai gulistan-e-adab hargiz kabhi viran nahin lagta na ho mahfuz mal-o-zar na izzat-abru hi jab to phir zinda kisi ka bhi mujhe iman nahin lagta kahan ka fakhr kaisa naz man-anam ki man-danam magar jo rab se paya hai mujhe arzan nahin lagta khuda rakkhe 'sabila' har ghadi man-bap ka saya dua se jin ki tufan bhi mujhe tufan nahin lagta