wo aane wala nahin phir bhi aana chahta hai magar wo koi munasib bahana chahta hai ye zindagi hai ye to hai ye rozgar ke dukh abhi bata de kahan aazmana chahta hai ki jaise us se mulaqat phir nahin hogi wo sari baaten ikatthi batana chahta hai main sun raha hun andhere mein aahaten kaisi ye kaun aaya hai aur kaun jaana chahta hai use khabar hai ki majnun ko ras hai jangal wo mere ghar mein bhi paude lagana chahta hai wo khud-gharaz hai mohabbat ke bab mein 'tabish' ki ek pal ke ewaz ek zamana chahta hai