wo aazmaen mujhe un ko aazmaun main phir aandhiyon ke liye ek diya jalaun main phir apni yaad ki purwaiyan bhi qaid kare wo chahta hai agar us ko bhul jaun main udas aankhon ko saughat de ke ashkon ki ye us ne khub kaha hai ki muskuraun main miyan ye zist ki sachchaiyon ke qisse hain koi fasana nahin hai jise sunaun main fasad, qatl, tassub, fareb, makkari safed-poshon ki baaten hain kya bataun main isi ko kahte hain mearaj kya mohabbat ki wo yaad aae to phir khud ko bhul jaun main jamal-e-yar pe ghazlen to ho chuki hain bahut ye sochta hun use aaina dikhaun main