wo apne juzw mein khoya gaya hai is had tak ki us ki fahm se bahar hai kal ki abjad tak khadi hain raushaniyan dast-basta sadiyon se hira ke ghaar se le kar gaya ke bargad tak uthe to us ke fusun se lahak lahak jae nazar pahunch na sake us ki qamat-o-qad tak pata chala ki hararat nahin rahi dil mein guzar ke aag se aae the apne maqsad tak wahi asas bana umr ke hisabon ki pahada yaad kiya tha jo ek se sad tak wahi jo dosh par apne utha saka khud ko nasheb-e-farsh se pahuncha faraaz-e-masnad tak