wo arz-e-gham pe mashwara-e-ikhtisar de kuze mein kaise koi samundar utar de duniya ho aakhirat ho wo sab ko sanwar de taufiq-e-ishq jis ko bhi parwardigar de phir dawat-e-karam nigah-e-shoala-bar de allah mustaqil mujhe sabr-o-qarar de jis phul ka bhi dekhiye daman hai tar tar kitna bada sabaq hamein fasl bahaar de dard-e-jigar shikasta-dili be-qarariyan kya kya na lutf mujh ko tera intizar de waiz use batao na jannat ke tum maze khuld-e-barin ka lutf jise ku-e-yar de kangan udhar kalai mein ghuma to yun laga aawaz mujh ko gardish-e-lail-o-nahaar de chehre pe wo sajae hai masumiyat ka nur ab kaun us ko zahmat-e-bos-o-kanar de main hun shahid-e-rah-e-mohabbat magar 'alim' mera ghalat pata meri lauh-e-mazar de