wo asar nazar mein de ai khuda wo mohabbaton mein rasai de jo hua nahin wo dikhai de jo kaha nahin wo sunai de ye hain mausamon ki shararaten ya marasimon ki hararaten ki har ek manzar-e-nur mein teri shakl mujh ko dikhai de jise tere dar se ho wasta wo take na phir koi aastan na kisi se phir wo kahe sitam na kahin pe ja ke duhai de teri yaad hai meri ham-safar main bhi mubtala hun kuchh is qadar ki har ek sang-e-rahguzar meri be-khudi ko badhai de tere ishq ka main asir hun teri chahaton se amir hun mujhe ya to apna bana le ab ya phir is jahan se rihai de tere gungunane se peshtar na meri ghazal ki thi kuchh qadar mera fan tujhe hai qubul to khuda mujh ko naghma-sarai de