wo aur honge nufus be-dil jo kahkashaen shumarte hain ye raat hai pure chand ki hum teri mohabbat hisarte hain badi mahaarat se us ki sanson mein naghmagi kar rahe hain paida wo jitna anjaan ban raha hai hum utna us ko nihaarte hain tumhaari nazron ka hai muqaddar ye jhil ka pur-sukun pani hum apni aankhon ke canwas par hazar maujen ubhaarte hain sabhi musafir chalen agar ek rukh to kya hai maza safar ka tum apne imkan talash kar lo mujhe parinde pukarte hain tumhin se 'sabir' hui hai kotahi tirgi ki muhafizat mein suna nahin tha kabhi ye pahle ki jugnu shab-khun marte hain