wo baat jis se ye dar tha khuli to jaan legi so ab ye dekhiye ja ke wo dam kahan legi milegi jalne se fursat hamein to sochenge panah rakh hamari kahan kahan legi ye aag jis ne jalae hain shahron jangal sab kabhi bujhegi to ye surat-e-khizan legi ye din jo tha ye raha hain gawah wadon ka ye shab jo hai tere dawon ka imtihan legi utar gai hai mere jism mein jo ye wahshat nikalte waqt yahi umr-e-jawedan legi zara si khak lahu de ke mutmain hain kyun abhi to rah-e-safar rahrawon ki jaan legi wasia itni hai uryaniyat ye jaan ki dekh badan ke dhakne ko ye kitne aasman legi burida sar kiye jaenge sab jawan kirdar wo chehra dekhna 'atif' ye dastan legi