wo baaten ishq kahta tha ki sara ghar mahakta tha mera mahbub jaise gul tha aur bulbul chahakta tha safar mein sham ho jati to dil mein shamen jal uthtin lahu mein phul khil jate jahan ghuncha chatakta tha kabhi main sarw ki surat nazar aata tha yaron ko kabhi ghunche ki surat apne hi dil mein dhadakta tha khuda jaane main us ke sath rahta tha ki aaina mere parde mein apne-ap ko hairat se takta tha khuda jaane wo kaisa aadmi tha jis ke mathe par koi bindiya lagata tha to ek jugnu chamakta tha kabhi rahta tha us ke sath main us ke gareban mein kabhi furqat mein apne aaine par sar patakta tha andheri raat jab sawan mein aati thi to ek bulbul khuda jaane kahan se aa ke mere ghar chahakta tha