wo bastiyan wo baam wo dar kitni dur hain mahtab tere chand-nagar kitni dur hain wo khwab jo ghubar-e-guman mein nazar na aae wo khwab tujh se dida-e-tar kitni dur hain baam-e-khayal-e-yar se utre to ye khula hum se hamare sham-o-sahar kitni dur hain ai aasman in ko jahan hona chahiye us khak se ye khak-basar kitni dur hain baithe bithae dil ke safar par chale to aae lekin wo mehrban-e-safar kitni dur hain ye bhi ghazal tamam hui sham ho chuki afsun-e-shairi ke hunar kitni dur hain