wo bhi kya din the ki hasil mujh ko tera pyar tha ek pal inkar tha aur ek pal iqrar tha wo bhi kya din the yahan gulzar tha aur yar tha is jagah nokile kharon ka bada ambar tha raston ke pech-o-kham ki fikr thi wallah kise ye tasalli thi ki mere sath mera yar tha zindagi ke goshe goshe mein talasha tha jise mil gaya mujh ko wo jab mere liye bekar tha chanda mama ki kahani nanhe bachchon ne suni chand par jaana to pichhle daur mein dushwar tha ek zamana jis ko kahta tha 'kalim-e-tahiri' yaad hai is shahr mein itna bada fankar tha