wo bhi kya din the sukun-e-zindagi dekha na tha

wo bhi kya din the sukun-e-zindagi dekha na tha
dhup thi sahra tha hum the dur tak saya na tha

ya bhari basti mein koi us ko padh sakta na tha
ya jabinon par koi harf-e-shikan likha na tha

gham ki tariki mein gum tha mera ehsas-e-nazar
dil mein teri yaad ka suraj abhi nikla na tha

har kiran ki dhaar garche kund itni bhi na thi
raat ka patthar kisi surat magar katta na tha

ek muddat ho gai thi mujh ko apne ghar mein band
mere darwaze pe dastak koi bhi deta na tha

gumbad-e-be-dar ki surat thi hayat-e-be-sabaat
main hisar-e-zat se bahar kabhi nikla na tha

sab hi aankhon mein sajae phir rahe the ratjage
kya sabab tha shahr mein kal shab koi soya na tha

baad muddat jab hua tha aaine ke ru-ba-ru
yun laga tha jaise ye chehra mera apna na tha

kya hua ab dil ki dhadkan bhi sada deti nahin
itna gahra pahle is basti mein sannata na tha

kaun pani mein utar kar dhundhta 'sajjad' ko
mauj ne us ka fasana ret par likkha na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close