wo but bol utthe kisi baat mein khuda se ye manga munajat mein tapakta bahut khana-e-chashm hai makan baith jata hai barsat mein chaman mein hai gulchin ka khatka laga na sayyaad sa ho kahin ghat mein wahan waz ka shor masjid mein hai yahan ha-o-hu hai kharabaat mein ye dawat adawat hui ai 'waqar' ki ho ghair dakhil mudaraat mein