wo charagh-e-jaan ki charagh tha kahin rahguzar mein bujh gaya main jo ek shoala-nazhad tha hawas-e-qarar mein bujh gaya mujhe kya khabar thi teri jabin ki wo raushni mere dam se thi main ajib sada-mizaj tha tere e'tibar mein bujh gaya mujhe ranj hai ki main mausamon ki tawaqquat se kam raha meri lau ko jis mein aman mili main usi bahaar mein bujh gaya wo jo lams meri talab raha wo jhulas gaya meri khoj mein so main us ki tab na la saka kaf-e-dagh-dar mein bujh gaya jinhen raushni ka lihaz tha jinhen apne khwab pe naz tha main unhi ki saf mein jala kiya main usi qatar mein bujh gaya