wo chilman se bijli girana tumhaara

wo chilman se bijli girana tumhaara
mujhe yaad hai muskurana tumhaara

wo jaana palat kar na aana tumhaara
na bhulega ye dil bahana tumhaara

ayan ho gaya raaz-e-dil ahl-e-dil par
wo sharma ke nazren jhukana tumhaara

bana do ki chahe mita do kisi ko
khudai tumhaari zamana tumhaara

kaman se nikal jo mere dil mein aaya
wo tir-e-nazar ka nishana tumhaara

kalisa mein dair-o-haram mein bhi dhundha
na paya kahin bhi thikana tumhaara

yaqinan tumhein yaad aata to hoga
wo 'sagar' wo aashiq diwana tumhaara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close