wo chir ke aakash zamin par utar aaya jalta hua suraj meri aankhon mein dar aaya lahron ne kai bar mere dar pe di dastak phir sath mujhe lene samundar idhar aaya wo zist ke us par ki thah lene gaya tha par laut ke ab tak na mera ham-safar aaya fursat ho to ye jism bhi mitti mein daba do lo phir main zaman aur makan se idhar aaya