wo darmiyan se nikla to ye khula mujh par

wo darmiyan se nikla to ye khula mujh par
ki ho gae hain musallat kai khuda mujh par

adhure naqsh wagarna kashish nahin rakhte
kiya gaya hai koi khas tajraba mujh par

hamare beach takallum ki ek surat thi
ki husn tujh pe utarta aur aaina mujh par

bitha diya gaya pahle bade badon mein mujhe
phir ek camera focus kiya gaya mujh par

wo chand hai use zeba hai dagh mathe par
main rasta hun so padta hai naqsh-e-pa mujh par

main ek ada se darakhton ke beach thahra raha
phir ek roz koi nam likh gaya mujh par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close