wo dil mein rahte hain dil ka nishan nahin malum makin dhund raha hun makan nahin malum sukun pane laga hun gham-e-mohabbat mein kahan gain meri be-tabiyan nahin malum masarraton ka to sathi mutala hai magar gham-e-hayat ki gahraiyan nahin malum fughan nasib ki waraftagi are tauba fughan nasib ko wajh-e-fughan nahin malum chaman ki fikr bhi kar aashiyan ki fikr ke sath kidhar ko tut paden bijliyan nahin malum wafa-shiar tahi-dast aae manzil par kahan kahan pe luta karwan nahin malum 'shakil' aaina hai daur-e-inqilab magar maal-e-qismat-e-hindostan nahin malum