wo dil mein roz naya dard le ke aata hai pe titliyon ke taaqub mein bhul jata hai jo munh chhupa ke dariche se bhag jata hai dil-o-jigar ka har ek zakhm muskuraata hai farishte us ki kamai pe naz karte hain wo faqa-mast pasine mein jab nahata hai wo jis ki zad se larazte the qaisar-o-kisra na jaane kaise piyaadon se mat khata hai wo ek zakhm jo saughat hai mohabbat ki jigar pe dagh hai jugnu sa jagmagata hai usi ki aankh mein milta hai lutf jine ka usi ki aankh mein tairak dub jata hai kabhi ka tod diya us ne aaina 'shakir' phir aaj kirchiyan palkon se kyon uthata he