wo ek gham ki sahaara tha zindagi ke liye

wo ek gham ki sahaara tha zindagi ke liye
bhula raha hun use bhi teri khushi ke liye

to yun khayal ke darwaze hum pe band na kar
hazar shahr khule honge ajnabi ke liye

jahan mein kaun bacha hai hamare qatl ke baad
jo teri zulf machalti hai barhami ke liye

khizan ka daur chaman mein naya nahin hai magar
kali kali na tarasti thi tazgi ke liye

har ek samt sarabon ke qafile hain rawan
nazar nazar mein bayaban hai aadmi ke liye

jigar ke dagh chhupae kabhi jo hum ne 'khalil'
andhere dil mein utar aae raushni ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close