wo gul-badan hai sarapa gulab jaisa hai jahan-e-husn mein wo aaftab jaisa hai hazaron rang samete hue hai aankhon mein wo shairi ki mukammal kitab jaisa hai sanwar deta hai wo sari mushkilen meri har-ik sawal hi us ka jawab jaisa hai wo ru-ba-ru ho to bas dekhte raho us ko ki us ko dekhna kar-e-sawab jaisa hai zamana kuchh nahin samjhega bas piye jao ki zahr-e-gham ka nasha bhi sharab jaisa hai kisi maqam pe thahra hai aur na thahrega ki dil ka haal bhi khana-kharab jaisa hai har ek lafz hai 'sagar' ka qimti moti wo rakh-rakhaw mein ab bhi nawab jaisa hai