wo gul wo khwab-shaar bhi nahin raha so dil ye khaksar bhi nahin raha ye dil to us ke nam ka padaw hai jahan wo ek bar bhi nahin raha pada hai khud se wasta aur is ke baad kisi ka e'tibar bhi nahin raha ye ranj apni asl shakl mein hai dost ki main ise sanwar bhi nahin raha ye waqt bhi guzar nahin raha hai aur main khud ise guzar bhi nahin raha