wo haal-e-dil hai tera sath KHatm hone par

wo haal-e-dil hai tera sath khatm hone par
wahi jo hota hai barsat khatm hone par

main hausle se raha khauf ke samundar mein
magar main gir pada khadshat khatm hone par

mere jawab se sab la-jawab hain lekin
main muztarib hun sawalat khatm hone par

wo ek hujum jo mujh ko uthae phirta tha
nazar na aaya mafadat khatm hone par

miyan ye sunte chale aae hain buzurgon se
ki khatm hoti hain aadat khatm hone par

kuchh aise log bhi ai nasl-e-nau hayat hain jo
sulag rahe hain riwayat khatm hone par

suno fazaon ko masmum is qadar na karo
ki aa gae hain nabaatat khatm hone par

kahin zamana kisi ke liye ruka hai kabhi
koi na hoga teri baat khatm hone par

hai baddua ya koi sehr hai 'qamar' hum par
andhera badhta hai har raat khatm hone par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close