wo hansti aankhen hasin tabassum damakta chehra kitab jaisa

wo hansti aankhen hasin tabassum damakta chehra kitab jaisa
daraaz qamat hai sarw aasa hai rang khilte gulab jaisa

wo dhime lahje ke zer-o-bam mein phuwar jaisi hasin rim-jhim
hai guftugu mein baham tasalsul rawan rawan sa chanab jaisa

kuchh us ke aariz ki dil-farebi kuchh us ke honton ka rang dilkash
wo sar se pa hai ghazal ka lahja naya naya sa shabab jaisa

kabhi wo taswir ban ke dekhe kabhi wo tahrir ban ke bole
wo pal mein gum-sum wo pal mein hairan kisi musawwir ke khwab jaisa

wo mere jazbon ki khush-nasibi ya us ki chahat ki intiha hai
ki us ki aankhon mein aks mera nihan ayan sa hijab jaisa

farishta surat dua ka saya wo rup insan ka dhaar aaya
hai us se duri azab mujh ko hai us ka milna sawab jaisa

palat ke dekhe to waqt thahre wo chal pade to zamana hairan
wo rashk-e-ambar wo mah-e-kaamil wo kahkashan wo shahab jaisa

kabhi wo sher-o-sukhan ka shaida kabhi wo tahqiq ka diwana
wo meri ghazlon ka husn-e-matla mere maqale ke bab jaisa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close