wo harf-e-raaz ki mujh ko sikha gaya hai junun khuda mujhe nafas-e-jabrail de to kahun sitara kya meri taqdir ki khabar dega wo khud farakhi-e-aflak mein hai khwar o zubun hayat kya hai khayal o nazar ki majzubi khudi ki maut hai andesha-ha-e-guna-gun ajab maza hai mujhe lazzat-e-khudi de kar wo chahte hain ki main apne aap mein na rahun zamir-e-pak o nigah-e-buland o masti-e-shauq na mal-o-daulat-e-qarun na fikr-e-aflatun sabaq mila hai ye meraj-e-mustafa se mujhe ki aalam-e-bashariyat ki zad mein hai gardun ye kaenat abhi na-tamam hai shayad ki aa rahi hai damadam sada-e-kun-fayakun ilaj aatish-e-'rumi' ke soz mein hai tera teri khirad pe hai ghaalib firangiyon ka fusun usi ke faiz se meri nigah hai raushan usi ke faiz se mere subu mein hai jehun