wo insan jo shikar-e-gardish-e-ayyam hota hai

wo insan jo shikar-e-gardish-e-ayyam hota hai
bhala karta hai duniya ka magar badnam hota hai

jo dekho ghaur se har sher ek ilham hota hai
sabhi ashaar se zahir koi paigham hota hai

dahal jate hain dil kaliyon ke gulshan thartharaata hai
chaman mein jab koi tair asir-e-dam hota hai

khirad hail hua karti hai jab bhi rah-e-ulfat mein
junun-e-ishq-e-sadiq muft mein badnam hota hai

jab aa jata hai ghaalib zor-e-baatil haq-paraston par
nizam-e-jabr se har-su bapa kohram hota hai

ye duniya hai ajab is mein bhala kya kya nahin hota
yahan masum insan morid-e-ilzam hota hai

hai mai-khana 'ghubar' is mein kisi ko haq nahin milta
zabardasti utha le jo usi ka jam hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close