wo jab rang-e-pareshani ko khalwat-gir dekhenge to apne har tasawwur mein meri taswir dekhenge suna hai husn ko dah-chand kar deta hai ye shisha laga kar apne dil mein aap ki taswir dekhenge wafa ka tazkira kya ab to ye irshad hai un ka ki tum nala karo hum garmi-e-tasir dekhenge shikasta har kadi hai har kadi mein dil ke tukde hain badi ibrat se diwane meri zanjir dekhenge khayal-e-hashar o fikr-e-nashr ai 'simab' la-hasil ki hai taqdir mein jo kuchh bahar-taqdir dekhenge