wo jald-baz shakhs kaenat kaise ho gaya nahin nahin ki gunj mein sabaat kaise ho gaya mujhe to apni pyas ka shuur tha ghurur tha wo ek ghunt badh ke yun furaat kaise ho gaya meri to dastaras mein khwab tak rahe na the mere ye kya hua zamana mere sath kaise ho gaya padi hui khajur se nabiz kaise ban gai ruka hua khayal harf-e-nat kaise ho gaya bujhe hoi charagh mein bani hai kaise raushni wo munjamid bana hawa ke sath kaise ho gaya sukhan sukhan mein kis tarah samundaron se baat ki pade pade qalam tera dawat kaise ho gaya