wo jin ke chehre dhuan-dhuan the wo log shahr-e-jamal ke the

wo jin ke chehre dhuan-dhuan the wo log shahr-e-jamal ke the
wo zard mausam ke raaz-dan the wo rukh pe baad-e-malal ke the

aqidaton ka khiraj de kar malamaton ki jo fasl kati
wo udte patton ki dastan thi wo rishte khwab-o-khayal ke the

tumhaari aankhon mein nind si thi mujhe bhi sahra pukarte the
tumhein bhi fursat na mil saki thi mere bhi lamhe zawal ke the

mohabbaton ki fasil chun kar qayamaton ke hisar khinche
dayar-e-jaanan mein rahne walon ke hausle bhi kamal ke the

wafa-paraston ki bastiyon mein jo tu ne dekhe the khwab chehre
wo apni aankhon ko dhundte the sabhi ke lahje sawal ke the

ba-waqt-e-rukhsat jo phaile kajal tumhaari aankhon ke aanganon mein
wahi khazine the aagahi ke wahi to lamhe visal ke the

inayaton ki riwayaton mein qayamaton ki shikayaten thin
ajib manzar tha har gali mein fasane tere jamal ke the

teri hi baaten tera hi charcha hikayaton mein shikayaton mein
gae dinon mein nae dinon mein fasane tere jamal ke the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close