wo jis kitab mein chahat ka silsila nikla waraq usi mein ek aansu bhara hua nikla talash main ne kiya tha sukun-e-dil ke liye magar ye kar-e-mohabbat bada juda nikla khushi to aai thi mehman ki tarah lekin ghamon ke sath hamesha ka rabta nikla wo dur tha to ye lagta tha hai bahut nazdik magar qarib se dekha to fasla nikla bata raha tha jo phulon ka rasta mujh ko usi ke panw mein kanta chubha hua nikla hazaron dard tabibon ne thik kar dale magar ye dard-e-mohabbat hi la-dawa nikla ujale dekh ke hairan hain meri qismat jo mere ghar se andheron ka qafila nikla chale gae bhi to kya qahqahon ki mahfil mein mizaj apna wahan bhi bujha hua nikla wo ji raha hai zamane mein shan se 'hani' wo jis ke nafs ka daman jala hua nikla