wo jo ek chehra damak raha hai jamal se

wo jo ek chehra damak raha hai jamal se
use mil rahi hai khushi kisi ke khayal se

main ne sirf ek hi daere mein safar kiya
kabhi be-niyaz bhi kar mujhe mah-o-sal se

kabhi hans ke khud hi gale se us ko laga liya
kabhi ro diye hain lipat ke khud hi malal se

tujhe kya khabar ki wo kaun hai sar-e-rahguzar
kabhi sarsari na guzar kisi ke sawal se

wo jo muskura ke guzar raha hai qarib se
use aashnai zarur hai mere haal se

mujhe aasra bhi nahin kisi ki duaon ka
mujhe khauf aata hai yun bhi waqt-e-zawal se

'yashab' apne aap se mil ke kitna bhala laga
mujhe fursaten hi nahin milin kai sal se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close