wo jo ek tanha shair tha tanha hi gham ka lashkar tha tum ko pa kar hum ne jaana tum ko kho dena behtar tha hum ne jab jab use pukara jaane rab ka dhyan kidhar tha hum ne jis ko chahat samjha wo bas tanhai ka dar tha yaaden frame kara rakkhi thin dil bhi ek ajaib-ghar tha 'zist' takhallus rakkha hum ne hum ko mar jaane ka dar tha