wo jo hoti thi faza-e-dastani le gaya ahd-e-nau ghar ghar se pariyon ki kahani le gaya aur le jata bhi kya tute hue rishte ka dukh kasa-e-dil se lahu aankhon se pani le gaya us ko jaana tha chala jata magar jate hue chhin kar mujh se wo apni har nishani le gaya kyun nahin khilte ab aankhon mein rawadari ke phul kya hua ye kaun rabt-e-darmiyani le gaya wo qalandar the so un ko sari duniya ek thi chal diye uth kar jahan bhi dana-pani le gaya ek nazar mein kar diya mashur kya sahir tha wo munjamid kar ke mujhe meri rawani le gaya us ke aage rang jitne the wo phike pad gae sab pe sabqat ek aks-e-zafrani le gaya jitne dukh aae mitane ko hamin khud mit gae kab koi 'rakhshan' hamari sakht-jaani le gaya