wo jo tumne gham diya tha mujhe sazgar hota

wo jo tum ne gham diya tha mujhe sazgar hota
agar itna aur hota ki wo ustuwar hota

teri be-rukhi ke sadqe mujhe aa gaya hai jina
na to ruthta na zalim mujhe gham se pyar hota

shab-o-roz ke nazare ye karishme rang-o-bu ke
ye tilism tod deta agar ikhtiyar hota

use waqf-e-khak kar ke kiya khub tu ne warna
ye wo zarra tha ki uthta to falak pe bar hota

kabhi ek bar bhi to mera tazkira chaman mein
ba-zaban-e-gul na hota ba-zaban-e-khar hota

lo suno ki ab zamana tumhein kah raha hai kya kuchh
yahi main jo arz karta tumhein nagawar hota

mere pas-e-zabt-e-gham ko na hua pasand warna
na mujhe qarar hota na tumhein qarar hota

are 'nur' kaun sunta tera uzr-e-be-gunahi
tu gunah bhi na karta to gunahgar hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close