wo kahte the ki dekho chintiyon ke par nikal aae

wo kahte the ki dekho chintiyon ke par nikal aae
bas itni baat thi hum chhod apna ghar nikal aae

hamare shahar mein sar ki hifazat masala thahra
kise malum hai kis samt se patthar nikal aae

kisi aawaz ne aawaz di khamoshiyan tutin
jahan thin sirf diwaren wahan par dar nikal aae

meri fihrist se ek nam bhi kharij nahin hota
na jaane kaun kin haalat mein behtar nikal aae

'musawwir' log kuchh bahar ke andar jam ke baithe hain
jinhen andar hi rahna tha wo bas bahar nikal aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close