wo kam-shuur hai phir bhi kamal karta hai

wo kam-shuur hai phir bhi kamal karta hai
hamare lafzon mein hum se sawal karta hai

karam kisi ka sanbhaale hue hai rahon mein
ye kharzar wagarna nidhaal karta hai

usi ke sar raha ilzam fitna-sazi ka
jo amn-rut mein khalal ko bahaal karta hai

wo pattharon mein bhi deta hai rizq kidon ko
kamal wala hai wo har kamal karta hai

muazzinon ke labon se azan sunte hi
parinda hamd-o-sana dal dal karta hai

'nawab' ke koi tarz-e-sukhan pe ghaur kare
har ek sher mein khud se maqal karta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close