wo kash man leta kabhi ham-safar mujhe

wo kash man leta kabhi ham-safar mujhe
to rasto ke pech ka hota na dar mujhe

be-shak ye aaina mujhe ji bhar sanwar de
par dekhti nahin hai ab us ki nazar mujhe

diwar jo giri hai to ilzam kis ko dun
meri khushi hi lai thi sajan ke ghar mujhe

mayusiyon ne shakl ki rangat bigad di
pahchanta nahin hai mera hi nagar mujhe

aai thi is taraf to kyun mujh se mili nahin
ab ke bahaar lag rahi hai mukhtasar mujhe

main 'chandni' hun nur hai mujh se jahan mein
dikhla raha hai kaun andhere ka dar mujh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close