wo koi husn hai jis husn ka charcha na hua us ka kya ishq hai jo ishq mein ruswa na hua tera aana jo mere pas masiha na hua tha jo bimar kisi se magar achchha na hua yun to mushtaq rahe kitna hi us kuche ke par guzar mere siwa aur kisi ka na hua shayad aa jae kabhi dekhne wo rashk-e-masih main kisi aur se is waste achchha na hua sher kahte hue ek umr hui 'taban' ko hae afsos ki is kaam main pukhta na hua