wo lapeT kar nikli tauliye mein baal apne

wo lapet kar nikli tauliye mein baal apne
bund bund bikhre the har taraf khayal apne

koele ki dheri par baith kar kaha us se
zindagi ke chulhe mein jal rahe hain sal apne

dosto kisi ne kya kholne ki khwahish mein
jaan ke attachi mein bhar diye jamal apne

puchhti ho hijran ki kaifiyat kidhar gham hai
martaban mein shayad band hain malal apne

koi aag ka bosa hai kahin pe khwabon mein
hum ne apne mathe par likh diye sawal apne

chahte the suraj ki dhup dekhna lekin
us ne odh rakkhi thi chaaron or shaal apne

qatl to darame ka act tha koi 'mansur'
kis liye lahu se hain donon hath lal apne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close