wo mahfilen purani afsana ho rahi hain is bazm mein to shamen parwana ho rahi hain shayad ki main bahut jald islam tark kar dun baaten jo ek but se rozana ho rahi hain hai had-e-dil se aage raftar us ke khun ki aur dhadkanen bhi khud se begana ho rahi hain main hans raha hun sun kar bare mein zindagi ke kya jism-o-jaan mein baaten bachkana ho rahi hain bagh-e-badan mein us ke be-rang-o-bu rahe hum ab khwahishen ba-taur-e-jurmana ho rahi hain pahle bhi ho rahi thin par sirf shairi mein aankhen to ab ki sach-much mai-khana ho rahi hain mitti ke kan mein ye kya kah diya hawa ne sab khwahishen badan se begana ho rahi hain ek din jo 'farhat-ehsas' uttha namaz padhne dekha ki masjiden khud but-khana ho rahi hain