wo masiha qabr par aata raha main mue par roz ji jata raha zindagi ki hum ne mar-mar ke basar wo but-e-tarsa jo tarsata raha wah bakht-e-na-rasa dekha tujhe nama-bar se khat kahin jata raha rah takte takte aakhir jaan gai wo taghaful-kesh bas aata raha dil to dene ko diya par ham-nashin hath main mal mal ke pachhtata raha dekh us ko ho gaya main be-khabar dil yakayak hath se jata raha kya kahun kis tarah furqat mein jiya khun-e-dil pita to gham khata raha raat bhar us barq-wash ki yaad mein sail-e-ashk aankhon se barsata raha dhundhta phirta hun us ko ja-ba-ja dil khuda jaane kidhar jata raha us masiha ki umid-e-wasl mein sham jita subh mar jata raha ishq ka 'rana' maraz hai la-dawa kab suna tu ne ki wo jata raha