wo mere bare mein aise bhi sochta kab tha agar main aks nahin thi wo aaina kab tha jo jod deta talluq ke sab rawabit ko hamare bich koi aisa silsila kab tha wo zina zina mere dil mein yun utarta gaya main rok pati use mujh mein hausla kab tha wo khush-guman bahut tha ki main hun us ki magar ye aarzu thi faqat mera faisla kab tha wo mere zabt ko har aan aazmata raha main sang-zad hun us ko magar pata kab tha suna nahin jo kaha tha to kaise samjhate jo us ne samjha tha mera wo muddaa kab tha bahaar ban ke wo milne to aa gaya tha mujhe thahar bhi jaega ye us ka faisla kab tha