wo mere dhyan se nikal aaya phul gul-dan se nikal aaya us ne socha tha faeda apna aur main nuqsan se nikal aaya ek safar panw mein pada hua tha ek saman se nikal aaya phir kinare bhi aa gae nazdik jab main tufan se nikal aaya sae ko dekh kar muqabil mein jism maidan se nikal aaya aaina shirk kar raha tha 'aziz' main to iman se nikal aaya