wo meri duniya ka malik tha magar mera na tha main ne is andaz par pahle kabhi socha na tha ek muddat tak raha khush-fahmiyon mein mubtala aaine ke ru-ba-ru jab tak mera chehra na tha tohmaton ko ek aise ajnabi ki thi talash jo kabhi ghar se nikal kar rah mein thahra na tha ho chuki thi shohraten ruswaiyon se ham-kanar bhul jata main jise wo saneha aisa na tha meri nazron mein hai khaka wo bhi husn-e-dost ka jis ko logon ne abhi tak zehn mein socha na tha main uthun to rang laen tazkaron ke silsile log itna to kahen ki aadmi achchha na tha log is andaz mein dete hain duniya ki misal main to jaise tajrabon ke daur se guzra na tha ek naya ehsas dete hain wo ahl-e-sang ko aabru ke sath rahna shahr mein achchha na tha kya asar-andaz hota us pe afsana 'nazar' lafz bhi mange hue mafhum bhi apna na tha