wo mizaj dil ke badal gae ki wo karobar nahin raha meri jaan tere firaq mein koi sogwar nahin raha teri aarzu kahin kho gai meri justuju-e-fuzul mein mujhe ain waqt visal mein tera intizar nahin raha na khirad rahi na junun bacha dil-e-pur-ghurur ye kya hua tujhe apne aap pe khud bhi ab zara e'tibar nahin hai dam-e-awwalin ke wo silsile wo tamam kar-e-jahan mere rahe na-tamam ki rah mein dam-e-mustaar nahin raha teri bazm jo ye saji nai yahan sara husn hai ajnabi koi chashm ab nahin surmagin koi gul-ezar nahin raha yahan mabadon ke hujum mein na bacha hai koi bhi mai-kada kise shahr mein kahen ham-nawa koi baada-khwar nahin raha