wo nairang-e-ulfat ko kya jaanta hai ki apne se mujh ko juda jaanta hai kuchh aisi to dushman mein khubi nahin hai magar tu khuda jaane kya jaanta hai ye munh se to kahta hun chhodi mohabbat magar haal dil ka khuda jaanta hai tumhaari shararat ko kya jaane koi ye main jaanun ya dil mera jaanta hai 'zahir' apne aibon ko main jaanta hun zamana mujhe parsa jaanta hai