wo nazron se meri nazar katta hai mohabbat ka pahla asar katta hai mujhe ghar mein bhi chain padta nahin tha safar mein hun ab to safar katta hai ye man ki duaen hifazat karengi ye tawiz sab ki nazar katta hai tumhaari jafa par main ghazlen kahunga suna hai hunar ko hunar katta hai ye firqa-parasti ye nafrat ki aandhi padosi padosi ka sar katta hai