wo pahle soch len khilti hui kali kya hai jo sochte hain ki tarkib-e-zindagi kya hai kidhar hai ghairat-e-gham kuchh mujhe sahaara de wo mujh se puchh rahe hain teri khushi kya hai wafa ka raaz na samjha saka koi ab tak ki us ki kya hai haqiqat ye waqai kya hai yahi to hoti hai sare rukhon ka aaina koi samajh ke to dekhe ki be-rukhi kya hai dam-e-akhir hai kis ka khayal jalwa-faroz ye meri maut ki had mein hayat si kya hai daraaz umr ho ai jine wale teri magar jo sirf apne liye ho wo zindagi kya hai na jaane kya ho ki meri hi raushni mein shifa khudi ye soch rahi hai ki be-khudi kya hai