wo pahli si mujh par inayat nahin hai

wo pahli si mujh par inayat nahin hai
mujhe phir bhi tum se shikayat nahin hai

unhen rahm karne ki aadat nahin hai
meri ashk-rezi ki khaslat nahin hai

nazar se pilana hi kafi hai saqi
mujhe jam ki ab zarurat nahin hai

guzarti hai kaise meri zindagani
zaban se kaho kaise taqat nahin hai

mulaqat yun to wo karte hain mujh se
magar walihana mohabbat nahin hai

madad chahiye sirf hum ko khuda ki
kisi ghair ki mujh ko hajat nahin hai

muqaddar ne jab se kiya dur tum se
usi waqt se dil ko rahat nahin hai

khuda jaane gulshan mein kya ho gaya hai
wo pahli si phulon mein rangat nahin hai

nazar pher kar is tarah chal diye wo
ki 'rahi' se jaise mohabbat nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close