wo pas aae aas bane aur palat gae kitne hi parde aankhon ke aage se hat gae har bagh mein bahaar hui khema-zan magar daman ke sath sath yahan dil bhi phat gae gumrahiyon ka lapka kuchh aisa pada ki hum manzil qarib aai to rahbar se kat gae dil de ke is tarah se tabiat sambhal gai goya tamam umr ke jhagde nipat gae barson ke pyase dasht-nawardon se puchhiye un baadalon ka pyar jo ghirte hi chhat gae bas mein rahen na jab gham-e-dauran ki wusaten hum log apne gosha-e-dil mein simat gae 'shohrat' unhen bhulane ki koshish jo ki kabhi daman-e-dil se sainkadon fitne lipat gae